Ayyo Hannas Dil e Haider e Karrar Hon Main Lyrics

Beautiful manqabat on Hazrat Abbas.

Admin
By Admin
7 Min Read

Let’s read the lyrics of beautiful manqabat 2026 Ayyo Hannas Dil e Haider e Karrar Hon Main Lyrics. This beautiful manqabat recited by Mir Hasan Mir & written by Bilal Kazmi.

Ayyo Hannas Dil E Haider E Karrar Hon Main
Sab Merey Samney Majboor Hain Mukhtar Hon Main
Surmaa Saaf Shikan O Ghazi O Jarrar Hon Main
Alaam E Zar Sey Kisi Fouj Ka Salar Hon Main
Asadullah Ka Aqas Mujhe Keyhte Hain
Sher Hon Is Liye Abbas Mujhe Keyhte Hain

Arzoo Hai Tou Koi Harf E Dua Hai Lekin
Jo Bhi Muthi Hai Wo Sacha Hai Khara Hai Lekin
Koi Musa Koi Haroon E Wafa Hai Lekin
Kanz E Mabood Nageeno Sey Bhara Hai Lekin
Kul E Emaan E Imam E Azali Ne Manga
Main Akela Hon Jise Rab Sey Ali Ne Manga

Algaraz Behr E Manajat Uthe Dast E Khuda
Saj Gayi Bolte Quran Key Honton Pe Dua
Rukh E Tareekh E Akhuwat Pe Charha Rang E Wafa
Bait E Molood E Haram Dekh Key Qudrat Ne Kaha
Ab Khuror E Shab E Tareek Zara Mand Bhi Ho
Bara Suraj Hai Jab Is Ghar Main Tou Ik Chand Bhi Ho

Raah Mushkil Ho Tou Asan Bana Deta Hon
Khaar Zaron Ko Gulistan Bana Deta Hon
Harf E Ruswa Ho Tou Zeeshan Bana Deta Hon
Main Bhikari Ko Bhi Sultan Bana Deta Hon
Apneyy Aaqa Key Gulistan Ka Gul E Taza Hon
Wo Agar Shehr E Sakhawat Hain Main Darwaza Hon

Kya Kaha Shah E Abuzar Sey Mile Ga Key Nhi
Ap Kuze Ko Samadar Sey Mile Ga Key Nhi
Noor Kuch Mehr E Munawar Sey Mile Ga Key Nhi
Sochte Ho Key Merey Ghar Sey Mile Ga Key Nhi
Shab Key Phande Main Gala Daal Diya Jhool Gaye
Kya Mera Babe Hawaij Ka Laqab Bhool Gaye

Koi Zar Koi Gohar Koi Rida Mangta Hai
Ye Zamana Mujhe De De Key Sada Mangta Hai
Yun Tou Har Lehja E Beemar Shifa Mangta Hai
Aake Kafar Koi Jab Mujhe Sey Dua Mangta Hai
Pesh E Rab Kalma E Touheed Parha Deta Hon
Main Duaon Ko Musalman Bana Deta Hon

Hai Shajar Aik Muradon Key Samar Bara Hain
Hai Sadaf Aik Taharat Key Gohar Bara Hain
Asman Aik Imamat Key Qamar Bara Hain
Aik Hai Ahle Nazar Noor E Nazar Bara Hain
Bara Anwar E Imamat Ka Jo Ik Ghalib Hai
Main Bhi Pota Hon Ussi Ka Jo Abu Talib Hai

Chote Bhai Ko Lari Ki Ijazat De Do
Teg E Bismil Ko Kalayi Ki Ijazat De Do
Foj E Batil Ki Safayi Ki Ijazat De Do
Aj Key Din Tou Larayi Ki Ijazat De Do
Hasrat E Teg Pe Kha Kha Key Taras Kate Hain
Isi Din Key Liye Batees Baras Kate Hain

Sahib E Mashk O Alam Khaime Sey Be Teg Chala
Phir Bhi Jibreel Ne Shehpar Key Liye Wird Parha
Dar Sey Khamosh Hua Aur Bhi Kuch Dil Dharka
Jab Mili Sher Ki Aahat Tou Pukara Dariya
Raah Takta Tha Main Jiski Wohi Salik Aya
Ghasibon Ghaat Sey Bhago Mera Malik Aya

Chup Hui Nehr Tou Abbas Ki Gunji Awaz
Banda E Khaas Ussi Ka Hon Jo Hai Banda Nawaz
Apneyy He Khoon Sey Wazoo Karke Basad Ejjz O Niyaz
Mujh Ko Parhna Hai Sakina Ki Mohabbat Ki Namaz
Meri Janib Sey Shahadat Ko Zaban De Di Hai
Ali Akber Ne Sawere He Azan De Di Hai

Asman Tak Jo Gayi Sher E Nayastan Ki Pukaar
Malak Ul Mout Ne Ghabra Key Kaha Ji Sarkar
Lehja E Ghaiz Main Bola Ye Hussaini Jarar
Sun Rahe Ho Jo Tarayi Pe Hai Shoor E Ashrar
Dushmani Main Ye Kayi Rooz Sey Baal Khate Hain
Jao Dariya Pe Khabar Kardo Key Hum Aate Hain

Pehre Daron Ki Sada Thi Key Tarayi Choro
Apneyy Bas Main Nhi Hargiz Ye Larayi Choro
Ab Ye Faryaad Ye Giriya Ye Duhayi Choro
Waqt Hai Bhaag Niklney Ka Kalayi Choro
Ghaiz Main Aake Jo Talwar Chala Deta Hai
Ye Parindo Ki Tarhan Sar Ko Ura Deta Hai

Sher Bola Key Halakat Key Nishan Tak Bhago
Tum Khayalon Key Musafir Ho Guman Tak Bhago
Bhaag Sakte Ho Jahan Tak Bhi Wahan Tak Bhago
Shaam Sey Aye Ho Hinda Key Makan Tak Bhago
Mout Ki Raah O Rabish Khainch Key Le Ayi Hai
Tum Ko Naize Ki Kashish Khainch Key Le Ayi Hai

Gham E Sufiyan Key Dilase Ho Kahan Jaate Ho
Jaaney Kitno Ki Khaata Sey Ho Kahan Jaate Ho
Tum Tou Hinda Key Nawase Ho Kahan Jate Ho
Badr Key Roz Sey Pyaase Ho Kahan Jaate Ho
Kasa E Lafz E Halakat Sey Pani Peelo
Khoon Key Pyaason Meri Talwar Sey Pani Peelo

Shimr E Buzdil Sey Pah E Jor Manga Aur Manga
Dair Kis Baat Ki Fil For Manga Aur Manga
Apneyy Anjam Pe Kar Gor Manga Aur Manga
Mujh Sey Larna Hai Tou Fouj Aur Manga Aur Manga
Ashal E Zeerak O Hoshiyar Kuchal Dale Ga
Itna Laskar Mera Rahwar Kuchal Dale Ga

Hai Merey Waar Ki Raftar Hawa Ko Maloom
Khadima Teg E Ali Hai Merey Hamle Makhdom
Sabhi Jurat Ki Saafon Main Hai Azal Sey Meri Dhoom
Jism Jab Honey Lage Gey Abhi Jan Sey Mehroom
Har Shujat Key Dhani Ibney Wali Aye Hain
Tum Ye Keyhte Hue Bhago Gey Ali Aye Hain

Apneyy Dil Main Hai Jawan Fatah E Khyber Ki Umam
Sang Ko Moom Karey Hum Tou Kabhi Moom Ko Sang
Zindagi Lamhon Main Be Deeno Pe Hojaye Gi Tang
Bhool Jao Gey Abhi Rustam O Sohrab Ki Jang
Hum Jo Talwar Key Qabze Main Kalayi Dein Gey
Un Key Ajdad Bhi Qabron Sey Duhayi Dein Gey

Read more: 4 Shaban Poetry on Wiladat Hazrat Abbas

Share This Article
Leave a Comment