Mazar e Fatima Lyrics

Syed Nadeem Raza Sarwar old noha writeup "Mazar e Fatima".

Admin
By Admin
3 Min Read

Mazar E Fatima Lyrics Nadeem Sarwar 2021 Noha on Ayyam e Fatima (s.a), Shahadat Hazrat Fatima (s.a) in urdu text.

Poet: Raza Sirsivi
Poet: Allama Dr Majid Raza Abidi
Poet: Azadar Shabir
Noha Khuwan: Nadeem Sarwar
Noha Volume: Nadeem Sarwar 2021-22
Composition: Nadeem Sarwar, Ali Shanawar, Ali Jee

Mazar e Fatima Lyrics

Daikho Mazaar-e-Fatima Kitna Udaas Hai.
Bas Ik Nishan-e-Sang Hi Turbat Kay Pas Hai.

Mehroom Chomnay Say Bi Her Haq Shanas Hai.
Bolay Zamane Day Ga Bhala Kya Jawab Tu.

Mehshar Mein Mustafa Kay Jab Aaye Ga Robaro.
ALLAH Re Ye Fatima Zahra Ki Bekasi.

Ik Shama Bi Jalanay Ko Aata Nhi Koi.
Tanha Hai Aik Goshay Mein Beti Rasool Ki.

Charon Taraf Madine Mein Phaili Hai Roshni.
Totay Huway Mazaar Say Lipati Hai Bekasi.

Boley Zamaney Ka Teray Damann Mn Kuch Na Tha.
Zahra Ne Her Namaz Mein Di Hai Tujhe Dua.

Tu Aik Tooti Qabar Hi Zahra Ko Day Saka.
Jab Daykhtey Hain Ujari Hoi Qabar-e-Syeda.

Lagtaw Hai Jesay Dhoop Mein Baithi Hain Fatima (s.a).

Zahra Wohi Kayh Jis Kay Pisar Hain Hasan Hussain.
Zahra Wohi Kayh Jis Kay Hain Shohar Sheh-e-Hunain.

Zahra Wohi Kayh Jo Dil-e-Paygambari Ka Chain.
Aisa Luta Ye Chain Kayh Ghar Bar Lut Gaya.

Ik Dil Tha Fatima Ka Jo So Bar Kat Gaya.

Pehlu Mein Aap Kay Hain Hasan Zainn Al-Abideen.
Baqir Bi Our Jafar-e-Sadiq Bi Hain Yahin.
Haye Kissi Ki Qabar Salamat Bi Ab Nhi.

Mehshar Mein Apna Dard Sunaein Gi Fatima.
Ummat Ny Jo Kia Hai Bataein Gi Fatima (s.a).

Ghurbat Rasool Zadi Ki Parhti Hai Marsiya.
Hasrat Say Takta Rehta Hai Roza Rasool Ka.
Aankhon Mein Ashk Cheekhtay Hain Wa Muhammada.

Farsh-e-Azza Bichaney Ko Aa Jaiye Imam.
Zahra (s.a) Ka Gham Mananey Ko AaJaiye Imam (ajtf).

Bibi Tumharey Lal Kay Ghamkhuwar Aaye Hain.
Jane Kahan Kahan Say Azadar Aaye Hain.

Noha Sunanay Aap Kay Zawwar Aaye Hain.
Ye Aarzu Thi Aankhon Say Mati Lagayen Gy.
Socha Na Tha Kayh Fateha Parhne Na Paein Gay.

Zawwaar Chup Hain Sara Baqiya Udaas Hai.
Karb-o-Bala Khamosh Madina Udaas Hai.

Her Ik Nabi Ka Chahney Wala Udaas Hai.
Bibi Ko Qabar Mein Bi Sakoon Hai Na Chain Hai.
Hai Pasliyun Pay Hath Zabaan Per Hussain Hai.

Read more: Fatima Roti Rahi Lyrics

mazar e fatima, mazar e fatima nadeem sarwar, nadeem sarwar noha lyrics, nadeem sarwar noha, bibi fatima, Shahadat Bibi Fatima, jannat ul baqi
Share This Article
Leave a Comment