Sakina Ka Lasha Lyrics

Mir Hasan Mir 2023 old noha lyrics in English.

Admin
By Admin
3 Min Read

Title: Sakina Ka Lasha
Nohakhawan: Mir Hasan Mir
Poet: Mir Takallum
Album: 2023

Sakina Ka Lasha Lyrics

Ina Lilla, Ina Lilla
Ina Lilla, Ina Lilla

Chalay Aao Abbas (s.a) Denay Ko Kandha
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha

Qayamat Hai Zindan Mein Aaj Barpa
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha
Chalay Aao Abbas (s.a) Denay Ko Kandha
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha

Hai Dastoor Ye Perday Daroon Kay Ghar Ka
Ye Beti Ka Lasha Hai Shab Mein Uthay Ga
Sitaron Say Kayh Do Kay Kar Dein Andhera
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha
Chalay Aao Abbas (s.a) Denay Ko Kandha
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha

Falak Hil Raha Hai Zameen Kanpti Hai
Labon Per Musafir Kay Nad e Ali Hai
Imamat Kay Hathon Mein Hota Hai Larzan
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha
Chalay Aao Abbas (s.a) Denay Ko Kandha
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha

Galay Say Laga Lein Behan Ko Utha Lein
Janazay Ko Sajjad Kaisay Sanbhalein
Hai Dehyan Iss Ki Tooti Hoi Pasliyon Ka
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha
Chalay Aao Abbas (s.a) Denay Ko Kandha
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha

Dua Kar Rahi Thi Musalsal Qaza Ki
Bari Aarzu Thi Issey Karbala Ki
Chali Apne Baba Say Milney Ko Dukhiya
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha
Chalay Aao Abbas (s.a) Denay Ko Kandha
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha

Wo Kayhti Thi Kab Ghar Ko Jaein Gay Bhai
Ye Hasrat Qaza Bhi Mitanay Na Payi
Madinay Ki Janib Hai Dukhiya Ka Chehra
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha
Chalay Aao Abbas (s.a) Denay Ko Kandha
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha

Ossay Kya Khabar Thi Kay Aisay Lutay Gi
Na Beta Rahe Ga Na Beti Rahe Gi
Nikal Jaye Dam Hi Na Asghar (as) Ki Maa Ka
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha
Chalay Aao Abbas (s.a) Denay Ko Kandha
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha

Watan Mein Ghareeb Al Watan Wo Ali Tha
Hai Perdais Mein Ye Ali Be Sahara
Uthaya Tha Haider Ne Zahra Ka Lasha
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha
Chalay Aao Abbas (s.a) Denay Ko Kandha
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha

Takallum Ye Maiyyat Hai Bekas Behan Ki
Qamar Jhuk Rahi Hai Ghareeb Al Watan Ki
Bahatar Janazon Say Bhari Janaza
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha
Chalay Aao Abbas (s.a) Denay Ko Kandha
Uthatay Hain Abid Sakina (s.a) Ka Lasha

Ina Lilla, Ina Lilla
Ina Lilla, Ina Lilla

Read more: Mere Qatal Ki Tayyari Lyrics

Share This Article
Leave a Comment