Shab e Zarbat e Mah e Ramzan Lyrics is a 2013 old Noha Recited by Nadeem Sarwar presented by the Nadeem Sarwar label. This creative noha is composed by Nadeem Sarwar, Ali Shanawar & Ali Jee and the poetry are beautifully penned by Rehan Azmi. TP has skillfully directed the noha video for Shabe Zarbate Mahe Ramzan.
Lyrics
Shab-e-Zarbath Mah-e-Ramzan
Ali ka yeh kehna hai
Yeh zindagi baad-e-Zahra
Ba Khuda shikasta hai
Aah tere baad aye Zahra
Main dil soz o shikasta
Main dil zar o girefta
Khuda nigahdaar ke main musafir-e-shab zinda daar
Khuda nigahdaar ke main paikar-e-dilfigaar
Ya Ali (a.s), Ya Ali (a.s), Ya Ali (a.s), Ya Ali…
Roz o shab-e-veerani
Zindagi yeh zindani
Zindagi yeh baad-e-Zahra
Ba Khuda nahi katt-ti
Khuda nigahdaar ke main musafir-e-shab zinda daar
Khuda nigahdaar ke main paikar-e-dilfigaar
Ya Ali (a.s), Ya Ali (a.s), Ya Ali (a.s), Ya Ali…
Haaye dard-e-dil mere
Jo Ali na keh paaya
Raaz woh liye dil mein
Ja raha hai aye duniya
Kal na Salooni suno ge
Kal na Salooni kahoon ga
Main chala sooye Kardigar
Khuda nigahdaar ke main musafir-e-shab zinda daar
Khuda nigahdaar ke main paikar-e-dilfigaar
Ya Ali (a.s), Ya Ali (a.s), Ya Ali (a.s), Ya Ali…
Woh Ali hoon jangon mein
Jis ne maut ko gheraa
Fatima ki farqat mein
Zabt kho gaya mera
Haaye tere baad aye Zahra
Haaye veeran hai duniya
Main chala sooye Kardigar
Khuda nigahdaar ke main musafir-e-shab zinda daar
Khuda nigahdaar ke main paikar-e-dilfigaar
Ya Ali (a.s), Ya Ali (a.s), Ya Ali (a.s), Ya Ali…
Haaye Fatima Zahra
Sabr kaisa paaya tha
Raaz zakhmi pehlu ka
Mujh se bhi chhupaya tha
Main kabhi bhool na paaya
Woh tera pehlu shikasta
Main chala sooye Kardigar
Khuda nigahdaar ke main musafir-e-shab zinda daar
Khuda nigahdaar ke main paikar-e-dilfigaar
Ya Ali (a.s), Ya Ali (a.s), Ya Ali (a.s), Ya Ali…
Also read: Yeh Janaza Hai Ali Ka Lyrics
Iss sitam ne aye Zahra
Kitna mujh ko rulaya
Main Ali tha aur tera
Haq na main dila paaya
Haaye tu dukhtar-e-Aqa
Aur darbaar mein jaana
Main chala sooye Kardigar
Khuda nigahdaar ke main musafir-e-shab zinda daar
Khuda nigahdaar ke main paikar-e-dilfigaar
Ya Ali (a.s), Ya Ali (a.s), Ya Ali (a.s), Ya Ali…
Aa raha hoon aye Zahra
Main bhi janib-e-manzil
Khuda Hafiz o Nasir
Main chala sooye qatil
Kal mera aakhri kalma
“Fuztu wa Rabbil Ka’ba”