Bhaiya Abbas Lyrics Ali Shanawar Noha 2025

Let’s read the Ali Shanawar noha 2025 Bhaiya Abbas lyrics in Urdu and English. This sad noha released in Muharram 2025 on Hazrat Abbas and Hazrat Zainab (s.a). A heart touching sad noha verses that touch every azadar heart. This noha poetry written by Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri and Ali Shanawar. Let’s read the writeups.

Bhaiya Abbas noha lyrics in urdu

Abbas (a.s), Abbas (a.s), Abbas (a.s) mere bhaiya
Bazaar mein Zainab (s.a) hai, bhaiya, bhaiya Abbas (a.s)

Mere bhai bata doon kis ko sada?
Ab tere siwa Abbas (a.s), bhaiya, bhaiya Abbas (a.s)

Na sar pe tera saya, na sar pe rida Ghazi
Majma hai tamashai, aati hai haya Ghazi
Aa Ghazi, aa mere bhai, aa deti hoon sada Abbas (a.s)
Bazaar mein Zainab (s.a) hai, bhaiya, bhaiya Abbas (a.s)
Abbas (a.s), Abbas (a.s), Abbas (a.s) mere bhaiya

Ghazi, mere baba ki jis shehar mein thi shahi
Us shehar mein qaidi hai us shehar ki shehzadi
Tere baad mera kya haal hua? Aa dekh zara Abbas (a.s)
Bazaar mein Zainab (s.a) hai, bhaiya, bhaiya Abbas (a.s)
Abbas (a.s), Abbas (a.s), Abbas (a.s) mere bhaiya

Main tere sahare par pardes chali aayi
Kuch bhi na raha mera, jab tu na raha bhai
Bin tere safar aur be chadar, dil toot gaya Abbas (a.s)
Bazaar mein Zainab (s.a) hai, bhaiya, bhaiya Abbas (a.s)
Abbas (a.s), Abbas (a.s), Abbas (a.s) mere bhaiya

Sajjad na bhoolega yun Shaam shehar aana
Bazaar nibha aayi, darbar hai ab jana
Wada ho wafa, bhai se mera karna yeh dua Abbas (a.s)
Bazaar mein Zainab (s.a) hai, bhaiya, bhaiya Abbas (a.s)
Abbas (a.s), Abbas (a.s), Abbas (a.s) mere bhaiya

Kehna mere bhai se sharminda yeh behna hai
Saumpa tha jise mujh ko, zakhmi woh Sakina hai
Masooma ko, mazlooma ko zindan mila Abbas (a.s)
Bazaar mein Zainab (s.a) hai, bhaiya, bhaiya Abbas (a.s)
Abbas (a.s), Abbas (a.s), Abbas (a.s) mere bhaiya

Leave a Comment