Read the lyrics of noha Mera Mazloom Hussain on 10 Muharram Shahadat Hazrat Imam Hussain (a.s) written by Jawad Jaffery and recited by Nadeem Sarwar.
Lyrics
Gir para ghode se jab ran mein Shah-e-Karb-o-Bala
Saare alam mein qayamat ka tha ek shor bapa
Dard mein doobi hui aayi yeh ek maa ki sada
Haaye mazloom Hussain, mera mazloom Hussain
Asr-e-Ashoor mera laal bara pyaasa hai
Haaye mazloom Hussain, mera mazloom Hussain
Yeh Muhammad ka nawasa hai, Ali ka beta
Kya khata hai mere bete ki, batao to zara
Zalimoon kyun use be jurm saza dena hai
Haaye mazloom Hussain, mera mazloom Hussain
Asr-e-Ashoor mera laal bara pyaasa hai
Haaye mazloom Hussain, mera mazloom Hussain
Haaye tanhai ka aalam ke koi paas nahi
Haaye Qasim nahi, Akbar nahi, Abbas nahi
Ya Ali aa, mera laal bara tanha hai
Haaye mazloom Hussain, mera mazloom Hussain
Asr-e-Ashoor mera laal bara pyaasa hai
Haaye mazloom Hussain, mera mazloom Hussain
Ek din mein bhare lashkar ka bhi gham dekha hai
Usne Abbas ka, Akbar ka bhi gham dekha hai
Dafn karke Ali Asghar ko abhi aaya hai
Haaye mazloom Hussain, mera mazloom Hussain
Asr-e-Ashoor mera laal bara pyaasa hai
Haaye mazloom Hussain, mera mazloom Hussain
Haaye chhalni hai jigar, phir bhi nahi roya hai
Kitne din se to mere laal nahi soya hai
Aa meri god mein so ja, tu bohot jaaga hai
Haaye mazloom Hussain, mera mazloom Hussain
Asr-e-Ashoor mera laal bara pyaasa hai
Haaye mazloom Hussain, mera mazloom Hussain
Aaiye bahr-e-Khuda, hashr bapa hai Baba
Shimar khanjar liye baleen pe khada hai Baba
Aap ke pyaare nawase ka gala katta hai
Haaye mazloom Hussain, mera mazloom Hussain
Asr-e-Ashoor mera laal bara pyaasa hai
Haaye mazloom Hussain, mera mazloom Hussain
Mera mazloom Hussain