Momino Haider e Karrar Lyrics | Nadeem Sarwar

Momino Haider e Karrar Lyrics is a 2019 old Noha Recited by Nadeem Sarwar on 21 Ramzan Shahadat Hazrat Imam Ali. This creative noha is composed by Nadeem Sarwar, Ali Shanawar & Ali Jee and the poetry are beautifully penned by Fazal Elahi Jafferi (late) modified by Jawad Jafferi & Nadeem Sarwar. Syed Jari Khushnood Naqvi has skillfully directed the noha video for Momino Haidere Karrar.

momino Haider e Karrar Lyrics, momino haider e karrar, 21 ramzan Shahadat imam ali, noha lyrics in urdu, imam ali, 19 ramzan, 21 ramadan, 21 ramazan poetry, 21 ramzan poetry, 21 Ramzan shayari
Momino Haider e Karrar Ka Matam Lyrics

Momino Haider e Karrar Lyrics

Momino! Haider-e-Karrar ka maatam kar lo
Haan Muhammad ke alamdar ka maatam kar lo

Khaak urhao ke Ali Sher-e-Khuda maare gaye
Baazu-e-Ahmed Mukhtar ka maatam kar lo
Momino! Haider-e-Karrar ka maatam kar lo

Jis ke dar se na gaya khaali sawaali koi
Un sakhi saahib-e-kirdar ka maatam kar lo
Momino! Haider-e-Karrar ka maatam kar lo

Jo ke paancho mein bhi hai, baarah imaamon mein bhi hai
Saare nabiyon ke madadgaar ka maatam kar lo
Momino! Haider-e-Karrar ka maatam kar lo

Also read: Shab e Zarbat e Mah e Ramzan Lyrics

Har wali kehta hai yeh kar ke Ali ka maatam
Mere aaqa mere sarkar ka maatam kar lo
Momino! Haider-e-Karrar ka maatam kar lo

Mil ke Jibraeel ke ustaad ka pursa de do
Saahib-e-Duldul o talwaar ka maatam kar lo
Momino! Haider-e-Karrar ka maatam kar lo

Apne qaatil ko diya jis ne ke jaam-e-sheerin
Kausar-e-jaam ke mukhtaar ka maatam kar lo
Momino! Haider-e-Karrar ka maatam kar lo

Kufa o Karb-o-bala Shaam se aati hai sada
Ujray Sadaat ke gulzaar ka maatam kar lo
Momino! Haider-e-Karrar ka maatam kar lo

Orignally written by Fazal Elahi Jafferi (late) modified by Jawad Jafferi and Nadeem Sarwar

إرسال تعليق