Zaban K Saath Dil Bola Ali Mola Ali Mola

Ali Ki Badshahi Hai
Ali Ism-e-Ilahi Hai
Har aik meezan mein tola
Zubaan ke saath dil bola
Ali Maula, Ali Maula

Lage jab Haidari naara
Ali Maula, Ali Maula
Jahan mein goonj hoti hai
Ali Maula, Ali Maula
Ali ki badshahi hai…

Kabhi Naad-e-Ali parh kar
Kaho Ya Fatah-e-Khaibar
To mushkil hogi mushkil mein
Ali ka naam hi sun kar
Ali ki badshahi hai…

Naseeri ne Khuda mana
Khuda ne La Fata jaana
Khuda ko wahi samjhega
Ali ko jis ne pehchana
Ali ki badshahi hai…

Ali sooraj palta de
Ali dariya ko thehra de
Ali chahe to munkir par
Qaza ki aag barsa de
Ali ki badshahi hai…

Ali aamil, Ali kaamil
Ali kashti, Ali sahil
Agar insaaf se poochho
Ali Islam ka hai dil
Ali ki badshahi hai…

Ali hai mazhar-e-Yazdaan
Ali hai bolta Qur’an
Nabuwwat jism ki soorat
Ali is jism mein hai jaan
Ali ki badshahi hai…

Salooni ki sada ban kar
Kabhi Raihaan aur Sarwar
Koi aawaaz aati hai
Jo chaho pooch lo aa kar
Ali ki badshahi hai…

Post a Comment