Mery Bachon Meri Aakhri Raat Hai - Syed Raza Abbas Zaidi

Mery Bachon Meri Aakhri Raat Hai Lyrics is a 2025 new Noha on 21 ramzan Shahadat Imam Ali recited by Syed Raza Abbas Zaidi, writeups written by Zeesha

Mery Bachon Meri Aakhri Raat Hai Lyrics is a 2025 new Noha on 21 ramzan Shahadat Imam Ali recited by Syed Raza Abbas Zaidi, writeups written by Zeeshan Abidi. Read the writeups of Merye Bacho Meri Akhri Raat Hai noha.

Mery Bachon Meri Aakhri Raat Hai

Aah Wo Zakhmi Ali Aur Wo Ikiswi Ki Shab
Bachon Se Ali Bole Qareeb Aao Mere Saath
Sar Baba Ka Chuma To Yeh Kehne Lagi Zainab
Saaya Mere Baba Ka Salamat Rahe Ya Rab
Yeh Sunte Hi Munh Pher Ke Rone Lage Haider
Kyun Rote Hain Jab Bachon Ne Yeh Poocha Lipat Kar
Haaye Kyun Rote Hain Jab Bachon Ne Yeh Poocha Lipat Kar
Mere Bachon
Mere Bachon
Meri Aakhri Raat Hai

Ghar Mein Kahraam Tha Jab Ali Ne Kaha
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai
Ghar Mein Kahraam Tha Jab Ali Ne Kaha
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai
Gali Yahin Se Uthega Janaza Mera
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai

Ghar Mein Kahraam Tha Jab Ali Ne Kaha
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai
Jab Kafan Odh Kar Ghar Se Jaoonga Main
Janta Hoon Bohat Yaad Aaoonga Main
Mujh Ko Dhoondo Ge Hujre Mein Jakar Magar
Chaah Kar Bhi Tumhein Mil Na Paoonga Main
Dekh Lo Chehra Ji Bhar Ke Tum Baap Ka
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai
Ghar Mein Kahraam Tha Jab Ali Ne Kaha
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai

Haal Bazaar Ka Aaya Jab Roobaroo
Ro Ke Haider Ne Beton Se Ki Guftagu
Mere Sar Se Jo Aaya Hai Beh Kar Abhi
Saaf Kar Do Meri Aankh Se Woh Lahoo

Dekh Loon Main Zara Betiyon Ki Rida
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai
Ghar Mein Kahraam Tha Jab Ali Ne Kaha
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai
Are Dekho Abbas Jab Qaid Hogi Behan
Na Hi Tum Hoge Aur Na Hasan-O-Hussain
Mere Sajjad Ko Paas Laao Mere
Usne Chalna Hai Kaanton Pe Seh Kar Chubhan
Bosa Le Loon Main Sajjad Ke Paon Ka
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai
Ghar Mein Kahraam Tha Jab Ali Ne Kaha
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai

Aur Mere Hote Hue Dar Giraya Gaya
Fatima Ko Tamacha Lagaya Gaya
Mar Chuka Tha Wahin Jab Mere Samne
Haath Par Taziyana Lagaya Gaya
Dafn Ho Jaye Ga Ab Badan Bhi Mera
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai
Ghar Mein Kahraam Tha Jab Ali Ne Kaha
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai

Meri Ek Zarb Par Dekho Rona Nahi
Yaad Karna Woh Khanjar Woh Jalti Zameen
Hoga Jab Maa Ki Godi Mein Bete Ka Sar
Tera Zarbayen Chalayega Jis Par Laeen
Aakhri Baar Main Choom Loon Woh Gala
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai
Ghar Mein Kahraam Tha Jab Ali Ne Kaha
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai

Jin Ko Khana Khilata Tha Ja Kar Ali
Unka Mere Ilawa Nahi Hai Koi
Tum Khayaal Al-Yateemon Ka Rakhna Hasan
Baithna Saath Jab Yaad Aaye Meri
Unse Doonga Unhein Kaise Main Hosla
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai
Ghar Mein Kahraam Tha Jab Ali Ne Kaha
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai

Ae Raza Aur Zeeshan Kya Waqt Tha
Haath Zainab Ka Shabbir Ko Sonpa Gaya
Sar Jhuka Kar Bohat Royi Ummul Baneen
Aakhri Saans Mein Jab Ali Ne Kaha
Sonp Do Haath Ghazi Ko Shabbir Ka
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai
Ghar Mein Kahraam Tha Jab Ali Ne Kaha
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai
Mere Bachon Meri Aakhri Raat Hai

Read more: All Noha Lyrics is Here

mery bachon meri aakhri raat hai lyrics
Syed Raza Abbas Zaidi Noha Lyrics

Lyrics in Urdu

آہ وہ زخمی علی اور وہ اکیسویں کی شب
بچوں سے علی بولے قریب آؤ میرے ساتھ
سر بابا کا چوما تو یہ کہنے لگی زینب
سایہ میرے بابا کا سلامت رہے یا رب
یہ سنتے ہی منہ پھیر کے رونے لگے حیدر
کیوں روتے ہیں جب بچوں نے یہ پوچھا لپٹ کر
ہائے کیوں روتے ہیں جب بچوں نے یہ پوچھا لپٹ کر
میرے بچو
میرے بچو
میری آخری رات ہے

گھر میں کہرام تھا جب علی نے کہا
میرے بچو میری آخری رات ہے
گھر میں کہرام تھا جب علی نے کہا
میرے بچو میری آخری رات ہے
گلی یہیں سے اٹھے گا جنازہ میرا
میرے بچو میری آخری رات ہے

گھر میں کہرام تھا جب علی نے کہا
میرے بچو میری آخری رات ہے
جب کفن اوڑھ کر گھر سے جاؤں گا میں
جانتا ہوں بہت یاد آؤں گا میں
مجھ کو ڈھونڈو گے حجرے میں جاکر مگر
چاہ کر بھی تمہیں مل نہ پاؤں گا میں
دیکھ لو چہرہ جی بھر کے تم باپ کا
میرے بچو میری آخری رات ہے
گھر میں کہرام تھا جب علی نے کہا
میرے بچو میری آخری رات ہے
حال بازار کا آیا جب روبرو
رو کے حیدر نے بیٹوں سے کی گفتگو
میرے سر سے جو آیا ہے بہہ کر ابھی
صاف کر دو میری آنکھ سے وہ لہو

دیکھ لوں میں ذرا بیٹیوں کی ردا
میرے بچو میری آخری رات ہے
گھر میں کہرام تھا جب علی نے کہا
میرے بچو میری آخری رات ہے
ارے دیکھو عباس جب قید ہوگی بہن
نہ ہی تم ہوگے اور نہ حسن و حسین
میرے سجاد کو پاس لاؤ میرے
اس نے چلنا ہے کانٹوں پہ سہہ کر چبھن
بوسا لے لوں میں سجاد کے پاؤں کا
میرے بچو میری آخری رات ہے
گھر میں کہرام تھا جب علی نے کہا
میرے بچو میری آخری رات ہے

اور میرے ہوتے ہوئے در گرایا گیا
فاطمہ کو تماچہ لگایا گیا
مر چکا تھا وہیں جب میرے سامنے
ہاتھ پر تازیانہ لگایا گیا
دفن ہو جائے گا اب بدن بھی میرا
میرے بچو میری آخری رات ہے
گھر میں کہرام تھا جب علی نے کہا
میرے بچو میری آخری رات ہے
میری اک ضرب پر دیکھو رونا نہیں
یاد کرنا وہ خنجر وہ جلتی زمیں
ہو گا جب ماں کی گودی میں بیٹے کا سر
تیرا ضربیں چلائے گا جس پر لعیں
آخری بار میں چوم لوں وہ گلا
میرے بچو میری آخری رات ہے
گھر میں کہرام تھا جب علی نے کہا
میرے بچو میری آخری رات ہے
جن کو کھانا کھلاتا تھا جاکر علی
ان کا میرے علاوہ نہیں ہے کوئی
تم خیال الیتیموں کا رکھنا حسن
بیٹھنا ساتھ جب یاد آئے میری
ان سے دوں گا انہیں کیسے میں حوصلہ
میرے بچو میری آخری رات ہے
گھر میں کہرام تھا جب علی نے کہا
میرے بچو میری آخری رات ہے
اے رضا اور ذیشان کیا وقت تھا
ہاتھ زینب کا شبر کو سونپا گیا
سر جھکا کر بہت روئی امّلبنی
آخری سانس میں جب علی نے کہا
سونپ دو ہاتھ غازی کو شبیر کا
میرے بچو میری آخری رات ہے
گھر میں کہرام تھا جب علی نے کہا
میرے بچو میری آخری رات ہے
میرے بچو میری آخری رات ہے

Post a Comment