Haider E Karar Tanha Hai Lyrics

Haider e Karar Tanha Hain Lyrics is a 2025 new Noha on Shahadat Imam Ali recited by Kazmi Brothers, writeups written by Arslan Azmi. Read the writeups of Haider e Karar Tanha Hai noha.

Haider e Karar Tanha Hain

Haaye Mazloom Ali

Ali Ki Aankh Mein Aansoo The Aur Honton Pe Yeh Noha
Jo Dil Ka Haal Hai Mere Kabhi Ummat Na Samjhegi
Ali Kehte The Main Talwaar Se Maara Na Jaoonga
Magar Zahra Yeh Tanhai To Meri Jaan Le Legi

Suno Zahra Madine
Suno Zahra Madine
Main Tera Ghamkhaar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai
Yeh Kaisa Waqt Hai Ke Yeh Kaisa Waqt Hai Ke
Waqt Ka Sardar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai
Ali Haidere Karrar Haidere Karrar Tanha Hai

Madine Wale Mujh Ko Dekh Kar Munh Pher Dete Hain
Woh Mimbar Se Nabi Ke Ab Meri Tauheen Karte Hain
Fadak Cheena Tha Jaise Is Tarah Mimbar Bhi Cheena Hai
Yeh Kaisa Waqt Hai Ke Yeh Kaisa Waqt Hai Ke
Waqt Ka Sardar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai

Main Zainab Daal Ke Gardan Mein Meri Mujh Ko Kheencha Tha
Muhammad Ki Qasam Mujh Ko Nazar Bazaar Aaya Tha
Na Jaane Kyun Nigahon Mein Meri Zainab Ka Chehra Hai
Yeh Kaisa Waqt Hai Ke Yeh Kaisa Waqt Hai Ke
Waqt Ka Sardar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai

Tumhare Laadle Bachon Ka Aise Dhyan Rakhta Hoon
Main Apne Dil Ke Saare Zakhm Bhi In Se Chhupata Hoon
Dar-O-Deewaar Ne Ghar Ke Ali Ka Haal Dekha Hai
Yeh Kaisa Waqt Hai Ke Yeh Kaisa Waqt Hai Ke
Waqt Ka Sardar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai

Tumhein Rota Hoon Main Zahra Meri Haalat Pe Tum Rolo
Main Aa Jaoon Tumhare Paas Yeh Rab Se Dua Maango
Tera Pehlu Shikasta Tha Ali Ka Dil Shikasta Hai
Yeh Kaisa Waqt Hai Ke Yeh Kaisa Waqt Hai Ke
Waqt Ka Sardar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai

Main Zakhmi Hoon Magar Takleef Mujh Ko Yeh Nahi Bibi
Mujhe To Fikr Khaye Jaa Rahi Hai Apne Bachon Ki
Tum Hi Batlao Mere Baad Kaun In Ka Sahara Hai
Yeh Kaisa Waqt Hai Ke Yeh Kaisa Waqt Hai Ke
Waqt Ka Sardar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai

Ali Ke Gham Samajh Sakta Nahi Azlaan Koi Bhi
Jo Tanhai Thi Maula Ki Bayaan Ho Bhi Nahi Sakti
Ali Maula Ki Tanhai Ko Bas Zahra Ne Samjha Hai
Yeh Kaisa Waqt Hai Ke Yeh Kaisa Waqt Hai Ke
Waqt Ka Sardar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai

Ashhadu Anna Aliyyan Waliullah Azaan-e-Fajr Noha Ban Gayi Hai Aaj Kufe Mein
Kiya Hai Waar Roza Daari Zalim Ne Sajde Mein
Lahu Itna Baha Sar Se Imaama Khoon Mein Dooba Hai
Yeh Kaisa Waqt Hai Ke Yeh Kaisa Waqt Hai Ke
Waqt Ka Sardar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai
Tumhare Baad Zahra Haidere Karrar Tanha Hai

Read more: All Noha Lyrics is Here

Haider e Karar Tanha Hai Lyrics

Lyrics in Urdu

ہائے مظلوم علی
علی کی آنکھ میں آنسو تھے اور ہونٹوں پہ یہ نوحہ
جو دل کا حال ہے میرے کبھی امت نہ سمجھے گی
علی کہتے تھے میں تلوار سے مارا نا جاؤں گا
مگر زهرا یہ تنہائی تو میری جان لے لے گی

سنو زهرا مدینے سنو زهرا مدینے
میں تیرا غم خوار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدرے کرار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدرے کرار تنہا ہے
یہ کیسا وقت ہے کہ یہ کیسا وقت ہے کہ
وقت کا سردار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدر کرار تنہا ہے
علی حیدرے کرار حیدر کرار تنہا ہے

مدینے والے مجھ کو دیکھ کر منہ پھیر دیتے ہیں
وہ ممبر سے نبی کے اب میری توہین کرتے ہیں
فدک چھینا تھا جیسے اس طرح ممبر بھی چھینا ہے
یہ کیسا وقت ہے کہ یہ کیسا وقت ہے کہ
وقت کا سردار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدر کرار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدر کرار تنہا ہے

میں زینب ڈال کے گردن میں میری مجھ کو کھینچا تھا
محمد کی قسم مجھ کو نظر بازار آیا تھا
نہ جانے کیوں نگاہوں میں میری زینب کا چہرہ ہے
یہ کیسا وقت ہے کہ یہ کیسا وقت ہے کہ
وقت کا سردار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدر کرار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدر کرار تنہا ہے

تمہارے لاڈلے بچوں کا ایسے دھیان رکھتا ہوں
میں اپنے دل کے سارے زخم بھی ان سے چھپاتا ہوں
درودیوار نے گھر کے علی کا حال دیکھا ہے
یہ کیسا وقت ہے کہ یہ کیسا وقت ہے کہ
وقت کا سردار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدر کرار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدر کرار تنہا ہے

تمہیں روتا ہوں میں زهرا میری حالت پہ تم رولو
میں آ جاؤں تمہارے پاس یہ رب سے دعا مانگو
تیرا پہلو شکستہ تھا علی کا دل شکستہ ہے
یہ کیسا وقت ہے کہ یہ کیسا وقت ہے کہ
وقت کا سردار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدر کرار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدر کرار تنہا ہے

میں زخمی ہوں مگر تکلیف مجھ کو یہ نہیں بی بی
مجھے تو فکر کھائے جا رہی ہے اپنے بچوں کی
تم ہی بتلاؤ میرے بعد کون ان کا سہارا ہے
یہ کیسا وقت ہے کہ یہ کیسا وقت ہے کہ
وقت کا سردار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدر کرار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدر کرار تنہا ہے

علی کے غم سمجھ سکتا نہیں اذلان کوئی بھی
جو تنہائی تھی مولا کی بیاں ہو بھی نہیں سکتی
علی مولا کی تنہائی کو بس زهرا نے سمجھا ہے
یہ کیسا وقت ہے کہ یہ کیسا وقت ہے کہ
وقت کا سردار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدر کرار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدر کرار تنہا ہے

اشھد ان علی ولی اللہ اذان فجر نوحہ بن گئی ہے آج کوفے میں
کیا ہے وار روضہ داری ظالم نے سجدے میں
لہو اتنا بہا سر سے امامہ خون میں ڈوبا ہے
یہ کیسا وقت ہے کہ یہ کیسا وقت ہے کہ
وقت کا سردار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدر کرار تنہا ہے
تمہارے بعد زھرا حیدر کرار تنہا ہے

Post a Comment